Hum Hain Mataa-e-Koocha-o-BaazaarHum hain mataa-e-koocha-o-baazaaHum hain mataa-e-koocha-o-baazaar kee tarahUthti hai har nigaah kharidaar kee tarahIss ku-e-tishnagi mein bahut hai ki ek jaamHaath aa gaya hai daulat-e-bedaar kee tarahWo to hain kahin aur magar dil ke aas paasFirti hai koi shay nigaah-e-yaar kee tarahSeedhi hai raah-e-shauq pa yun hi kabhi kabhiKham ho gayi hai gesu-e-diladar kee tarahAb ja ke kuch khula hunar-e-naakhoon-e-junoonZakhm-e-jigar huye lab-o-rukhsar kee tarahMajrooh likh rahe hain wo ahal-e-wafa ka naamHum bhi khade hue hain gunahagaar kee tarah
Kehte Toh Ho Yun KehteKehte toh ho yun kehte, yun kehte jo yaar aataSab kehne ki baat hai, kuch bhi nahi kaha jata
Naam Uska Likh Kar Mita Raha Tha MainNaam uska likh kar mita raha tha mainDil ko apne yun behla raha tha mainNa thi jisko mere pyaar ki kadar dostoNa chahte hue bhi bas usi ko chah raha tha main
Achha Kiya Jo Tod Diya Tumne Dil MeraAchha kiya jo tod diya tumne dil meraIsko bhi bahut guroor tha tumhare pyaar pe
Wo Mujhe Chaahti Hai Par Apna Nahi SaktiWo mujhe chaahti hai par apna nahi saktiMujhe bhulane ka dard utha nahi saktiAjeeb hai uske pyaar ka ye andaz bhiKhafa to karti hai par manaa nahi sakti
Mujhse Na SahiMujhse na sahi, gairon se hi sahiTumhein dil ko lagana aa to geyaDuniya mein kisi ke tum ho to gayeChalo tumhein pyaar nibhana aa to geya